kal qayamat hai qayamat ke siwa kya hoga
ai main qurban-e-wafa wada-e-farda hoga
hashr ke roz bhi kya KHun-e-tamanna hoga
samne aaenge ya aaj bhi parda hoga
hum nahin jaante hain hashr mein kya kya hoga
ye KHushi hai ki wafa wada-e-farda hoga
tu bata de hamein sadqe tere ai shan-e-karam
hum gunahgar hain kya hashr hamara hoga
lakh pardon mein koi ai nigah-e-shauq rahe
dekh lega jo koi dekhne wala hoga
aisi le de hui aa kar ki ilahi-tauba
hum samajhte the ki mahshar mein tamasha hoga
sai har gam mein ki hai ye samajh kar hum ne
wahi hoga jo mashiyyat ka taqaza hoga
pi ke aaya araq-e-sharm jabin par jo kabhi
chehre par baada-kasho nur barasta hoga
rahne dega na dam-e-zabh koi halq ko KHushk
mai-kade mein hamein itna to sahaara hoga
mujhe kya Dar hai ki honge mere sarkar shafia
mujhe kya Dar hai ki tu baKHshne wala hoga
sharm-e-isyan se nahin uThti hain palken apni
hum gunahgar se kya hashr mein parda hoga
kaba sunte hain ki ghar hai baDe data ka 'riyaz'
zindagi hai to faqiron ka bhi phera hoga
Ghazal
Kal qayamat hai qayamat ke siwa kya hoga
Riyaz Khairabadi