kal pardes mein yaad aaegi dhyan mein rakh
apne shahr ki miTTi bhi saman mein rakh
sare jism ko le kar ghum zamane mein
bas ek dil ki dhaDkan pakistan mein rakh
jaane kis raste se kirnen aa jaen
dil dahliz pe aankhen raushan-dan mein rakh
jhil mein ek mahtab zaruri hota hai
koi tamanna is chashm-e-hairan mein rakh
hum se shart lagane ki ek surat hai
apne sare KHwab yahan maidan mein rakh
jab bhi chahun tera chehra soch sakun
bas itni si baat mere imkan mein rakh
titli rasta bhul ke aa bhi sakti hai
kaghaz ke ye phul abhi gul-dan mein rakh
apne dil se ruswai ka KHauf nikal
'azhar' ab taswir meri dalan mein rakh
Ghazal
Kal pardes mein yaad aaegi dhyan mein rakh
Azhar Adeeb