kal nazar aaya chaman mein ek ajab rashk-e-chaman
gul-ruKH o gul-gun qaba o gul-azar o gul-badan
mahr-e-talat zohra-paikar mushtari-ru mah-jabin
sim-bar simab-tab o sim-saq o sim-tan
naznin naz-afrin nazuk-badan nazuk-mizaj
ghuncha-lab rangin-ada shakkar-dahan shirin-suKHan
be-murawwat bewafa bedard be-parwa KHiram
jang-ju qattal-waz o sarfaraaz o sar-fagan
mubtala aise hi KHush-wazon ke hote hain 'nazir'
be-qarar o dil-figar o KHasta-haal be-watan
Ghazal
Kal nazar aaya chaman mein ek ajab rashk-e-chaman
Nazeer Akbarabadi