kal nashat-e-qurb se mausam bahaar-andaza tha
kuchh hawa bhi narm thi kuchh rang-e-gul bhi taza tha
thak ke sang-e-rah par baiThe to uTThe hi nahin
had se baDh kar tez chalne ka yahi KHamyaza tha
aaina donon ke aage rakh diya taqdir ne
mere chehre par lahu tha ru-e-gul par ghaza tha
mujh ko mallahon ke giton se mohabbat hai magar
raat sahil par hawa ka shor be-andaza tha
ab to kuchh dukh bhi nahin hai dagh bhi jata raha
kal isi dil mein yahin ek zaKHm tha aur taza tha
go yaqini to nahin the mere taKHmine magar
jo tujhe pesh aaya us ka kuchh mujhe andaza tha
mere auraq-e-pareshan dekhne wale kabhi
main kitab-e-ishq tha aur dil mera shiraaza tha
aankh mein us ki chamak thi par hawasnaki bhi thi
rang us ke ruKH pe tha lekin rahin-e-ghaza tha
josh-e-girya mere rone ka ye shor-e-baz-gasht
kuchh na tha ek kucha gard-e-sabr ka aawaza tha
jaane andar kya hua main shor sun kar ai 'salim'
us jagah pahuncha to dekha band wo darwaza tha

Ghazal
Kal nashat-e-qurb se mausam bahaar-andaza tha
Saleem Ahmed