اردو हिंदी
Kal kahan bichaari bulbul aur kahan bechaara gul | Shaahi Shayari
kal kahan bichaari bulbul aur kahan bechaara gul

Ghazal

Kal kahan bichaari bulbul aur kahan bechaara gul

Kishan Kumaar Waqaar

;

kal kahan bichaari bulbul aur kahan bechaara gul
aaj bulbul did kar le bagh ki nazzara gul

KHali-az-shar ye chaTakne ki sada hargiz nahin
subh dam karta hai apne kuch ka naqqara gul

ghuncha jab tak chup raha har tarah KHatir jama thi
KHanda-e-mufrat ne lekin kar diya aawara gul

zahira baatin subuk tha kuchh girani aa gai
ho gaya bulbul ki jaanib se jo sang-e-KHara gul

kyun na guzre dam-ba-dam bulbul ka parcha ai 'waqar'
rakhta hai baad-e-saba ka bagh mein harkara gul