اردو हिंदी
Kal jo tum idhar se guzre hum nazar kar rah gae | Shaahi Shayari
kal jo tum idhar se guzre hum nazar kar rah gae

Ghazal

Kal jo tum idhar se guzre hum nazar kar rah gae

Meer Hasan

;

kal jo tum idhar se guzre hum nazar kar rah gae
ji mein tha kuchh kahiye lekin aah Dar kar rah gae

jab na kuchh bas chal saka apna to phir hasrat se hae
dekh kar munh ko tere ek aah bhar kar rah gae

sar bahut paTka qafas mein apna hum ne ham-safir
kui na pahuncha dad ko fariyaad kar kar rah gae

nama-bar ki ya kabutar ki ki dil ki rakhiye aas
apne to yan se gae jo wan wo mar kar rah gae

kal kisi ka zikr-e-KHair aaya tha majlis mein 'hasan'
is dil-e-betab par hum hath dhar kar rah gae