kal chashm-e-KHun-fishan se gulzar pairahan tha
daman ka tha jo taKHta yak taKHta-e-chaman tha
kijo 'azim' ko bhi yarab ghariq-e-rahmat
aawara-e-junun sa ek sahab-suKHan tha
aur mani-band aisa hindi zaban ka 'saeb'
hindostan se le kar mashhur ta-dakan tha
ek din jo ghar se nikla KHatt-e-shua-asa
bikhra hua badan par har tar-e-pairahan tha
dekha jo dafan karte jun shama par ho fanus
turbat mein dur tan se baalisht-bhar kafan tha

Ghazal
Kal chashm-e-KHun-fishan se gulzar pairahan tha
Mirza Azeem Beg