kal ai aashob-e-nala aaj nahin
aaj hangama par mizaj nahin
ghair us ke ki KHub roiye aur
gham-e-dil ka koi ilaj nahin
ab bhi qimat hai dil ki gosha-e-chashm
itni ye jins be-riwaj nahin
shah ko bhi chahiye hai gor-o-kafan
kaun hai jis ko ehtiyaj nahin
dil se bas hath uTha tu ab ai ishq
deh-e-viran par KHiraj nahin
do-jahan bhi milen to bas hai hamein
yan kuchh itni to ehtiyaj nahin
kar na jurat tu ai tabib ki ye
dil ka dhaDka hai iKHtilaj nahin
main to 'qaem' kahe tha tujh se aah
dil-e-nazuk hai ye zujaj nahin
Ghazal
Kal ai aashob-e-nala aaj nahin
Qayem Chandpuri