اردو हिंदी
Kaj-kulahi ki ada yaad aai | Shaahi Shayari
kaj-kulahi ki ada yaad aai

Ghazal

Kaj-kulahi ki ada yaad aai

Gopal Mittal

;

kaj-kulahi ki ada yaad aai
ku-e-qatil ki hawa yaad aai

dil ko shayad nahin yara-e-wafa
warna kyun teri jafa yaad aai

us ki bedad ke har zikr ke sath
us ki ek ek ada yaad aai

dil ke KHun hone ki jab baat chali
us ki KHushbu-e-hina yaad aai

shukriya naseh-e-mushfiq ki phir aaj
apni rudad-e-wafa yaad aai