kaisi ruki hui thi rawani meri taraf
Thahra hua tha apna hi pani meri taraf
tahrir mein bhi jo wo misal apni aap hai
paigham bhejta hai zabani meri taraf
patton ka rang tha ki hua aur bhi hara
chalti rahi hawa-e-KHizani meri taraf
hai koi aasman mein jis ki taraf se rose
aati hai ek yaad-dahani meri taraf
lafzon ka bojh rahta hai sar par shabana rose
rahti hai guftugu ki girani meri taraf
kirdar us ko DhunDte phirte hain ja-ba-ja
gum aa ke ho gai hai kahani meri taraf
the us ki dastaras mein ajaib to besh-tar
bheji na us ne koi nishani meri taraf
rahta hai lafz lafz koi shor mujh se dur
karti hai zor mauj-e-maani meri taraf
jab koi bhi nahin hai to phir raat bhar 'zafar'
hota hai kaun aake bayani meri taraf
Ghazal
Kaisi ruki hui thi rawani meri taraf
Zafar Iqbal