اردو हिंदी
Kaisi mani ki qaba rishton ko pahnai gai | Shaahi Shayari
kaisi mani ki qaba rishton ko pahnai gai

Ghazal

Kaisi mani ki qaba rishton ko pahnai gai

Sabir Adeeb

;

kaisi mani ki qaba rishton ko pahnai gai
ek hi lamhe mein barson ki shanasai gai

har dar-o-diwar par bachpan jawani naqsh the
kab mere ghar se mere mazi ki darai gai

is qadar unchi hui diwar-e-nafrat har taraf
aaj har insan se insan ki pazirai gai

har naya din dhup ki kirnon se tap kar aae hai
jism se ThanDak gai aaankhon se binai gai

ab kahan wo mastiyan sargoshiyan gul-reziyan
daman-e-sahra se jo aati thi purwai gai

waqt ki saughat hai na hum hain hum na tum ho tum
zehn se sochen gain honTon se sachchai gai

aaj phir hai hukmarani tirgi ki har taraf
raushni ek pal ko 'sabir' aai aur aai gai