kaisi kaisi nahin karta raha man-mani main
soch kar apne liye likhta tha la-fani main
bhiD mein sab ki tarah zulm pe chup-chap raha
aaj phir ek dafa mar gaya insani main
paida hone ke to matlab na rahe honge kuchh
bas ki ab marna nahin chahta be-mani main
ek tariKH ki tamir kare wo lamha
ek samundar jo rache bund wahi yani main
Ghazal
Kaisi kaisi nahin karta raha man-mani main
Bhavesh Dilshad