kaisi hai ye bahaar muqaddar ki baat hai
daman hai tar-tar muqaddar ki baat hai
kya qahr hai ki rang hai phulon ka zard zard
kanTon pe hai nikhaar muqaddar ki baat hai
is muKHtasar hayat mein itni musibaten
kis ko hai iKHtiyar muqaddar ki baat hai
ai dost aagahi hamein koshish ke bawajud
aai na sazgar muqaddar ki baat hai
har-gam par fareb diye jis nasib ne
phir us pe eatibar muqaddar ki baat hai
sahil se ham-kanar kare ya Dubo hi de
maujon ka ye ubhaar muqaddar ki baat hai
'jaanbaz' ghair ke liye duniya ki neamaten
mere liye hai dar muqaddar ki baat hai
Ghazal
Kaisi hai ye bahaar muqaddar ki baat hai
Satyapal Janbaz