اردو हिंदी
Kaisi baKHshish ka ye saman hua phirta hai | Shaahi Shayari
kaisi baKHshish ka ye saman hua phirta hai

Ghazal

Kaisi baKHshish ka ye saman hua phirta hai

Jaleel Haider Lashari

;

kaisi baKHshish ka ye saman hua phirta hai
shahr sara hi pareshan hua phirta hai

kaisa aashiq hai tere nam pe qurban hai magar
teri har baat se anjaan hua phirta hai

hum ko jakDa hai yahan jabr ki zanjiron ne
ab to ye shahr hi zindan hua phirta hai

shab ko shaitan bhi mange hai panahen jis se
subh wo sahib-e-iman hua phirta hai

jaane kab kaun kise mar de kafir kah ke
shahr ka shahr musalman hua phirta hai