kaisi aashuftagi-e-sar hai yahan
ras sahra yahan na ghar hai yahan
ek gham hai ki be-mudawa hai
ek rona ki umr bhar hai yahan
jo bhi kawish hai be-sila be-sud
jo shajar hai wo be-samar hai yahan
ek masafat ki tai nahin hoti
manzilon manzilon safar hai yahan
yun riwayat se kaT gae lekin
tajraba jo hai talKH-tar hai yahan
Ghazal
Kaisi aashuftagi-e-sar hai yahan
Asif Jamal