kaise toDi gai ye hadd-e-adab puchhte hain
phul shaKHon se lachakne ka sabab puchhte hain
shaKH jis shaKH se Takrai hai jhum uTThi hai
peD aapas mein kahan nam-o-nasab puchhte hain
koi andaza kare chand ki bechaini ka
jab sitare kabhi suraj ka laqab puchhte hain
aankh jaise hi jhapakti hai hamesha kuchh KHwab
kitne din baad mayassar hui shab puchhte hain
gungunate hue masum se jharne 'shahid'
kyun hai dariyaon mein hi qahr-o-ghazab puchhte hain
Ghazal
Kaise toDi gai ye hadd-e-adab puchhte hain
Shahid Jamal