kaise sach se rahe be-KHabar aaina
aaj KHush hai bahut TuT kar aaina
har taraf be-zamiri nazar aaegi
ho gaya gar ye pura nagar aaina
aaina log ghar mein sajate hain par
main ne kar Dala pura hi ghar aaina
jhuThe chehron ko sachcha batata sada
rakhta insan si fitrat agar aaina
aaine ki hai ek aur KHubi suno
sab ko aata nahin hai nazar aaina
lag na jae koi dagh kirdar par
zinda rakhta hai dil mein ye Dar aaina
sirf surat nahin jis mein sirat dikhe
aisa ban kar chale ham-safar aaina
wo badalte hain kirdar din mein kai
dekhte hain jo sham-o-sahar aaina
mujh ko dete hain ab wo nasihat 'sachin'
dekh pae na jo umr-bhar aaina

Ghazal
Kaise sach se rahe be-KHabar aaina
Sachin Shalini