kaise rakhenge sar pe kisi ka udhaar hum
qarz-e-wafa mein karte hain sar ka shumar hum
afsos isi chaman mein hue be-wiqar hum
jis ko ki chahte rahe diwana-war hum
alfaz madah-KHwan the qalam the bike hue
kaise tarash lete koi shah-kar hum
milna hamara KHak mein zaea na jaega
de jaenge chaman ko shuur-e-bahaar hum
koi sipar bacha na sakegi huzur ko
talwar se suKHan ki karenge jo war hum
ai zindagi na hum se chhupa raaz-e-zindagi
har sans mein hain tere hi aaina-dar hum
Dalen ab ek aur riwayat ki dagh-bel
dushman pe ai 'niyaz' karen e'tibar hum
Ghazal
Kaise rakhenge sar pe kisi ka udhaar hum
Abdul Mateen Niyaz