اردو हिंदी
Kaise kaTe qasida-go harf-garon ke darmiyan | Shaahi Shayari
kaise kaTe qasida-go harf-garon ke darmiyan

Ghazal

Kaise kaTe qasida-go harf-garon ke darmiyan

Razi Akhtar Shauq

;

kaise kaTe qasida-go harf-garon ke darmiyan
koi to sar-kashida ho itne saron ke darmiyan

ek to sham rang rang phir mere KHwab rang rang
aag si hai lagi hui mere paron ke darmiyan

hath liye hain hath mein phir bhi nazar hai ghat mein
ham-safaron ki KHair ho ham-safaron ke darmiyan

ab jo chale to ye khula shahr kushada ho gaya
baDh gae aur fasle ghar se gharon ke darmiyan

kaise uDun main kya uDun jab koi kashmakash si ho
mere hi bazuon mein aur mere paron ke darmiyan

jam-e-sifal-o-jam-e-jam kuchh bhi to hum na ban sake
aur bikhar bikhar gae kuza-garon ke darmiyan

jaise luTa tha 'shauq' mein yunhi mata-e-fan luTi
ahl-e-nazar ke samne dida-waron ke darmiyan