kaise karun main zabt-e-raaz tu hi mujhe bata ki yun
ai dil-e-zar sharah-e-raaz mujh se bhi tu chhupa ki yun
kaise chhupaun soz-e-dil tu hi mujhe bata ki yun
shama bujha di yar ne jaise tha muddaa ki yun
ek shikast-e-zahiri fath bane to kis tarah
aaina-dar ban gaya qissa-e-karbala ki yun
soch raha tha gham-nasib bigDi bane to kis tarah
rahmat-o-lutf-e-kirdgar ban gae aasra ki yun
ye jo kaha ki pas-e-ishq husn ko kuchh to chahiye
dast-e-karam ba-dosh-e-ghair yar ne rakh diya ki yun
puchha KHitab yar se kis tarah kijiye sham-e-wasl
chupke se andalib ne phul se kuchh kaha ki yun
lutf-e-jafa-e-dost ka kaise ada ho shukriya
lazzat-e-sorish-e-jigar dene lagi dua ki yun
ham-nafas-o-habib-e-KHas bante hain ghair kis tarah
boli ye sard-mehri-e-umr-e-gurez-pa ki yun
donon hon kaise ek ja 'mehdi' surur-o-soz-e-dil
barq-e-nigah-e-naz ne gir ke bata diya ki yun
Ghazal
Kaise karun main zabt-e-raaz tu hi mujhe bata ki yun
S A Mehdi