kaise kahun safine ko sailab le gaya
mera nasib tha jo tah-e-ab le gaya
ek jaan-e-arzu ki tamanna-e-did mein
jaane kahan kahan dil-e-betab le gaya
matam-kunan hai shaKH faza-e-chaman udas
ye kaun toD kar gul-e-shadab le gaya
goya mata-e-dil hi thi meri mata-e-zist
dil le ke koi zist ke asbab le gaya
surat dikha ke KHwab mein ek aan ke liye
ye kaun zindagi ke hasin KHwab le gaya
dil ka qarar dil ka sukun dil ki rahaten
ye kaun meri zist ke asbab le gaya
rindan-e-lucknow ke liye tohfa-e-'umid'
saqi sharab-e-ulfat-e-ahbab le gaya

Ghazal
Kaise kahun safine ko sailab le gaya
Raghunath Sahai