اردو हिंदी
Kaise kahen ki chaar taraf daera na tha | Shaahi Shayari
kaise kahen ki chaar taraf daera na tha

Ghazal

Kaise kahen ki chaar taraf daera na tha

Bimal Krishn Ashk

;

kaise kahen ki chaar taraf daera na tha
jate kahan ki KHud se pare rasta na tha

jab sans le rahi thi daraKHton ke aas-pas
aawaz de rahi thi koi bolta na tha

KHud se chale to rah-guzar aaina ho gai
apne siwae aur koi sujhta na tha

ab ke basant aai to aankhen ujaD gain
sarson ke khet mein koi patta hara na tha

parda hila ke baad-e-sahar dur tak gai
KHushbu kidhar se aai kisi ko pata na tha

guzri tamam umr usi shahr mein jahan
waqif sabhi the go koi pahchanta na tha

ai 'ashk' ek kitab paDhi thi waraq waraq
wo tirgi thi lafz koi sujhta na tha