اردو हिंदी
Kaise kahen dar-ba-dar nahin hum | Shaahi Shayari
kaise kahen dar-ba-dar nahin hum

Ghazal

Kaise kahen dar-ba-dar nahin hum

Mohsin Ehsan

;

kaise kahen dar-ba-dar nahin hum
ghar mein bhi hain aur ghar nahin hum

jo rah mein sath chhoD jaen
aison ke to ham-safar nahin hum

apnon ki koi KHabar na rakkhen
itne bhi to be-KHabar nahin hum

uTh jae kab apna aab-o-dana
insan hain koi KHizar nahin hum

dekhen na uTha ke aankh us ko
aise bhi to kam-nazar nahin hum

sach hai ki KHuda ke ru-ba-ru bhi
sharminda KHataon par nahin hum

har an-kahi baat sun rahe hain
diwar hain koi dar nahin hum