kaise jaanun ki jahan KHwab-numa hota hai
jabki har shaKHs yahan aabla-pa hota hai
dekhne walon ki aaankhon mein nami tairti hai
sochne walon ke sine mein KHala hota hai
log us shahr ko KHush-haal samajh lete hain
raat ke waqt bhi jo jag raha hota hai
ghar ke bare mein yahi jaan saka hun ab tak
jab bhi lauTo koi darwaza khula hota hai
fasle is tarah simTe hain nai duniya mein
apne logon se har ek shaKHs juda hota hai
mere muhtaj nahin hain ye badalte mausam
man leta hun magar dil bhi bura hota hai
chandni raat ne ehsas dilaya hai 'malal'
aadmi kitne sarabon mein ghira hota hai
Ghazal
Kaise jaanun ki jahan KHwab-numa hota hai
Sagheer Malal