kaise is shahr mein rahna hoga
hae wo shaKHs ki mujh sa hoga
rang bikhrenge jo main bikhrunga
tu jo bikhrega to zarra hoga
KHushk aankhon se isi soch mein hun
abr is bar bhi barsa hoga
ab bhi pahron hai yahi soch mujhe
wo mujhe chhoD ke tanha hoga
wo badan KHwab sa lagta hai mujhe
jo kisi ne bhi na dekha hoga
ye taghayyur ki hawa hai pyare
ab jahan phul hain sahra hoga
dekhna tum ki yahi kunj-e-bahaar
phir jo guzroge to suna hoga
na ye chehre na ye mele honge
na koi dost kisi ka hoga
aisa badlega sitamgar mausam
KHun shaKHon se Tapakta hoga
na kisi sar mein mohabbat ka junun
na kisi dil mein ye sauda hoga
husn majbur tah-e-dam-e-hawas
ishq mahrum-e-nazara hoga
hum ne ghar apna jalaya hai ki 'shauq'
shahr mein kuchh to ujala hoga
Ghazal
Kaise is shahr mein rahna hoga
Razi Akhtar Shauq