اردو हिंदी
Kaise in sachche jazbon ki ab us tak tafhim karun | Shaahi Shayari
kaise in sachche jazbon ki ab us tak tafhim karun

Ghazal

Kaise in sachche jazbon ki ab us tak tafhim karun

Farooq Bakshi

;

kaise in sachche jazbon ki ab us tak tafhim karun
ruThne wala ghar aae to lafzon mein tarmim karun

mujh se bichhaD kar jaane wale itna to samjhata ja
apne aap ko do hisson mein kaise main taqsim karun

ahl-e-siyasat banT rahe hain jaan se pyare logon ko
main shair hun sach kahta hun kyun un ki tazim karun

wo bhi zamana-saz hua hai tum bhi Thik hi kahte ho
meri bhi majburi samjho kis dil se taslim karun

tujh se bichhaDna qismat mein tha jina to majburi hai
soch raha hun ujDe ghar ki phir se nai tazim karun

koshish to ki lakh magar kuchh baat nahin banti 'faruq'
soch raha hun sara manzar lafzon mein tajsim karun