kaise guzar sakenge zamane bahaar ke
chup ho gaya hun mausam-e-gul ko pukar ke
ya meri zindagi mein ujala kare koi
ya phenk de kahin ye sitare utar ke
jholi mein gul to kya koi kanTa hi Dal do
mayus to na ho koi daman pasar ke
dil par bhi aao ek nazar Dalte chalen
shayad chhupe hue hon yahin din bahaar ke
aankhon mein aansuon ki tarah tairne lage
bhige hue KHayal lab-e-ju-e-bar ke
dahki hui fazaon mein jaen kahan tuyur
sae bhi jab ghane na rahen shaKH-sar ke
'shahzad' kis zamin ko main apna watan kahun
aawargan-e-ishq hue kis dayar ke
Ghazal
Kaise guzar sakenge zamane bahaar ke
Shahzad Ahmad