kaise dukh kitni chah se dekha
tujhe kis kis nigah se dekha
shiddat-e-la-zawal se chaha
hasrat-e-be-panah se dekha
itna socha tujhe ki duniya ko
hum ne teri nigah se dekha
shauq kya ghair-mo'tabar Thahra
tu ne jab ishtibah se dekha
apni tarik zindagi mein tujhe
KHub-tar mahr o mah se dekha
ahl-e-dil par teri kashish ka asar
apne haal-e-tabah se dekha
dushmanon se jo gham na dekha tha
koshish-e-KHair-KHwah se dekha
gham giran-tar hai koh se jaana
hum subuk-tar hain kah se dekha
daimi duriyon ka sadma 'ziya'
sarsari rasm-o-rah se dekha
Ghazal
Kaise dukh kitni chah se dekha
Zia Jalandhari