kaise dil lagta haram mein daur-e-paimana na tha
is liye phir aae kabe se ki mai-KHana na tha
tum ne dekhi hi nahin taqdir ki tarikiyan
ek andheri gor thi furqat mein kashana na tha
majma-e-bait-ul-haram ki dhum sunte the magar
ja ke jab dekha to un mein koi farzana na tha
hashr mein us shoKH ka tarz-e-taghaful dekhna
mujh ko pahchana nahin haalanki begana na tha
hashr mein aaKHir use bhi chhoDte hi ban paDi
KHana-e-madfan bhi goya apna kashana na tha
aisi kya biti ki 'muztar' un buton par mar miTa
jaan de deta wo kuchh aisa to diwana na tha
Ghazal
Kaise dil lagta haram mein daur-e-paimana na tha
Muztar Khairabadi