kaise banaun hath par taswir KHwab ki
mujh ko mili na aaj tak tabir KHwab ki
aankhon se nind ruTh ke jaane kidhar gai
kaTti nahin hai raat-bhar zanjir KHwab ki
jis shahr mein ho KHwab churane ki wardat
kaise karun wahan pe main tashhir KHwab ki
KHwabon ne har qadam pe mujhe hausla diya
dekhi nahin hai tum ne kya tasir KHwab ki
kab tak rahegi tirgi tere KHayal mein
raushan karegi us ko bhi tanwir KHwab ki
us din to mere KHwabon ko pahchan jaoge
jis din likhega koi bhi tafsir KHwab ki
KHwabon ko hi 'iram' ne asasa bana liya
rahne do mere pas ye jagir KHwab ki
Ghazal
Kaise banaun hath par taswir KHwab ki
Erum Zehra