kaise badal rahe ho batata nahin hai kya
aaina koi tum ko dikhata nahin hai kya
KHalq-e-KHuda ka KHauf to dil mein nahin raha
tum ko KHuda ka KHauf bhi aata nahin hai kya
tarik lag rahi hai hai shab-e-mahtab bhi
koi yahan charagh jalata nahin hai kya
bashindagan-e-shahr sabhi mahw-e-KHwab hain
in ko tilsim-e-shab bhi jagata nahin hai kya
Ghazal
Kaise badal rahe ho batata nahin hai kya
Obaid Siddiqi

