اردو हिंदी
Kaise aa pahunchi hai gulshan ki hawa zindan mein | Shaahi Shayari
kaise aa pahunchi hai gulshan ki hawa zindan mein

Ghazal

Kaise aa pahunchi hai gulshan ki hawa zindan mein

Manzoor Arif

;

kaise aa pahunchi hai gulshan ki hawa zindan mein
dil ka jau zaKHm tha ek phul bana zindan mein

aisa dil-kash tha ki thi maut bhi manzur hamein
hum ne jis jurm ki kaTi hai saza zindan mein

main gulistan mein bhi tanha tha magar yaad to thi
kaisa be-yar-o-madad-gar hua zindan main

main nai tanhai se tang aa ke use yaad kiya
ab mere sath hi rahta hai KHuda zindan mein

wo jo gulshan mein mere gham ka mudawa na hua
chand nikla to use yaad kiya zindan mein

aaj jab aankh khuli hai to faza hai KHamosh
subh-dam kaun su-e-dar gaya zindan mein