kaisa kaisa dar pas-e-diwar karna paD gaya
ghar ke andar aur ghar tayyar karna paD gaya
us kinare ne kaha kya kya kahun kya baat thi
baat aisi thi ki dariya par karna paD gaya
phir bisat-e-KHwab uThai aur ojhal ho gae
sham ka manzar hamein hamwar karna paD gaya
ek zara sa rasta manga tha virani ne kya
apna sara ghar hamein mismar karna paD gaya
wo kahani waqt ka jis mein tasawwur hi nahin
us kahani mein hamein kirdar karna paD gaya
sarsari samjha teri aankhon ko hum ne aur phir
sarsari chizon pe bhi israr karna paD gaya
aaKHirash sab KHwab us manzil pe pahunche hain jahan
apni aankhon ka hamein inkar karna paD gaya
Ghazal
Kaisa kaisa dar pas-e-diwar karna paD gaya
Shaheen Abbas

