kaisa ajib aaya hai is sal ka bajaT 
murghi ka jo bajaT hai wahi dal ka bajaT 
jitni hai ek clerk ki tanKHwah aaj kal 
utna hai begamat ke ek gal ka bajaT 
sirf ek din mein bis musafir hue halak 
hazir hai sain gulshan-e-iqbaal ka bajaT 
Tw ka ye mazaq adibon ke sath hai 
shaer se dugna rakh diya qawwal ka bajaT 
bichhDe the jab ye log mahina tha june ka 
sohni bana rahi thi mahinwal ka bajaT 
damad ko nikal ke jab bhi hua hai pesh 
salon ne pas kar diya sasural ka bajaT 
bikti hai ab kitab bhi cassette ke rate pe 
kaise banega 'ghaalib' o 'iqbaal' ka bajaT 
man kah rahi thi rang lipstick ke dekh kar 
chaT kar diya bahu ne mere lal ka bajaT 
donon bane hain bais-e-taklif aaj-kal 
'ishaq'-Dar aur nae sal ka bajaT
        Ghazal
Kaisa ajib aaya hai is sal ka bajaT
Khalid Irfan

