اردو हिंदी
Kai zamanon se mujh mein jo dard bikhra tha | Shaahi Shayari
kai zamanon se mujh mein jo dard bikhra tha

Ghazal

Kai zamanon se mujh mein jo dard bikhra tha

Jaleel Haider Lashari

;

kai zamanon se mujh mein jo dard bikhra tha
zara si umr mein us ne kahan simaTna tha

nahin gila jo mujhe mil gaya hai gham itna
kabhi kisi ne to aaKHir ye dard sahna tha

lage the kanpne jallad ke jo dast o pa
ajal se mil ke gale koi muskuraya tha

KHiraj deta chala aa raha hun naslon se
ye kis ghanim ke hathon mein itna haara tha

main kab ka TuT ke 'haidar' bikhar gaya hota
KHuda ka shukr tere dard ka sahaara tha