kai zamanon ke dariya-e-nil chhoD gaya 
wo waqt tha jo mujhe lakhon mil chhoD gaya 
na bhige honT bhi kam-zarf dasht o dariya ke 
mera husain lahu ki sabil chhoD gaya 
sab ek se the tulu-o-ghurub-e-jaan us ke 
judai mein bhi wo naqsh-e-jamil chhoD gaya 
the us ke sath zawal-e-safar ke sab manzar 
wo dukhte dil ke bahut sang-e-mil chhoD gaya 
main murda paniyon mein chand sa rawan dekhun 
wo warse mein mujhe KHwahish ki jhil chhoD gaya 
main zinda sach tha samundar ki gunj ki surat 
gawahi le nahin paya dalil chhoD gaya
 
        Ghazal
Kai zamanon ke dariya-e-nil chhoD gaya
Musavvir Sabzwari

