kai tarah ke libas-o-hijab rakkhunga
udhaD raha hai ye jiwan naqab rakkhunga
koi kitab thama kar gharib bachchon ko
nae daraKHton ke kuchh inqalab rakkhunga
kabhi ghurur na aae kisi tarah mujh mein
ki rahmaton ka main us ki hisab rakkhunga
mujhe sawal gaDit ke samajh nahin aate
tere fareb ke kaise hisab rakkhunga
bichhaD ke shaKH se bahta phirun raza us ki
kisi daraKHt pe ja kar ye KHwab rakkhunga
ki pa liya hai kise aur kho diya kis ko
yahi sawal hai kya kya jawab rakkhunga
tujhe sawal ki mohlat kabhi nahin milni
har ek waqt ke pahle jawab rakkhunga
tumhaare honTon pe main ne kitab likkhi hai
meri kitab ka unwan gulab rakkhunga
Ghazal
Kai tarah ke libas-o-hijab rakkhunga
Sudesh Kumar Mehr