kai sukhe hue patte hare malum hote hain
hamein dekho kahin se dil-jale malum hote hain
mahinon se jo KHali tha wo kamra uTh gaya shayad
ye alhaD-pan ye masumi nae malum hote hain
simaT aati thi kis apnaiyat ke sath wo kuTiya
imarat mein to hum dubke hue malum hote hain
ghamon par muskura lete hain lekin muskura kar hum
KHud apni hi nazar mein chor se malum hote hain
qadam leti hai baDh kar os mein bhigi hui dharti
ye pas-manda musafir shahr ke malum hote hain
baDhawa de rahe hain muzmahil chehre ki zardi ko
tere juDe mein ye ghunche bure malum hote hain
bataen kya ki bechaini baDhate hain wahi aa kar
bahut bechain hum jin ke liye malum hote hain
purana ho chuka chashme ka number baDh gaya shayad
sitare hum ko miTTi ke diye malum hote hain
suna ai dosto tum ne ki shaer hain 'muzaffar' bhi
ba-zahir aadmi kitne bhale malum hote hain
Ghazal
Kai sukhe hue patte hare malum hote hain
Muzaffar Hanfi