kai sitare yahan TuTte bikharte hain
sab apni satha se aaKHir kahan ubharte hain
na jaane kitne azabon mein mubtila hum hain
isi liye to nai aarzu se Darte hain
hum ek bar muhayya na kar sake tujh ko
hazar rang teri justuju mein bharte hain
ye jugnuon ki chamak raushni nazar bhar ki
hawa mein uDte musafir kahan Thaharte hain
nafas nafas ke liye silsile talash karo
hamesha log yahan qurbaton pe marte hain
main koi bahta hua be-karan samundar hun
ek aaine mein hazar aaine ubharte hain
wo pastiyan isi insan ka muqaddar hain
bulandiyon se farishte jahan utarte hain
ho apna qurb mayassar to kuchh bataen bhi
kahan kahan se tere sath hum guzarte hain
'hayat' kuchh to kaho doston ki mahfil mein
ghamon ki bhiD mein apne bhi gham nikharte hain
Ghazal
Kai sitare yahan TuTte bikharte hain
Hayat Lakhnavi