kai silsilon se juDa hua ye jo zindagi ka safar raha 
nai manzilon ki talash mein ye rahin-e-rah-guzar raha 
wo jo log mere KHulus ka baDa barmala sa jawaz the 
jo nigah-e-naz ka zoam the main unhi ka sarf-e-nazar raha 
main dayar-e-yar mein ajnabi jahan umr sari guzar gai 
jise main ne apna samajh liya wo nagar jahan-e-digar raha 
kabhi saz-e-gham se jo sar mile to main raqs-gah mein jal uTha 
mere baKHt mein thi jo naghmagi main usi ke zer-e-asar raha 
kisi aise KHauf mein mubtala ki bayan karun to karun bhi kya 
thi jo mumkinat se mawara mujhe aisi baat ka Dar raha 
meri aarzu koi KHwab tha so main rat-jagon se ulajh paDa 
meri aafiyat thi KHumar mein mujhe jagne mein hunar raha 
sabhi guftugu ka maal hai na sawal kar na jawab de 
yahan shor-o-ghul ke bahaw mein jise chup lagi wo amar raha
        Ghazal
Kai silsilon se juDa hua ye jo zindagi ka safar raha
Salman Sarwat

