kai sawal machalte hain har sawal ke baad
shab-e-visal se pahle shab-e-visal ke baad
na jaane kyun ye mera dil dhaDakne lagta hai
tere KHayal se pahle tere KHayal ke baad
har ek daw se waqif thi ai mere hamdam
main teri chaal se pahle main teri chaal ke baad
na jaane kyun teri yaaden tawaf karti hain
kisi malal se pahle kisi malal ke baad
teri qasam tera chehra hi ru-ba-ru tha mere
tere sawal se pahle tere sawal ke baad
faza mein qaus-e-quzah si bikhar gai har samt
tere jamal se pahle tere jamal ke baad
kahan thi ek hi haalat mere dil-o-jaan ki
tere KHayal se pahle tere KHayal ke baad
amir-e-shahr unhen yaad kar jo sath rahe
tere zawal se pahle tere zawal ke baad
koi hai 'rumi' musalsal sawal karta hai
mere sawal se pahle mere sawal ke baad
Ghazal
Kai sawal machalte hain har sawal ke baad
Rumana Rumi