kai sarab mile tishnagi ke raste mein
rukawaTen hain bahut raushni ke raste mein
hamara aap ka sar phoDna muqaddar hai
sanam khaDe hain abhi aadmi ke raste mein
hai us ka sath to lab par yahi dua hai ki phir
na aae aur koi zindagi ke raste mein
wahan mila bhi to apna hi aashna sa ye
khaDe the der se hum raushni ke raste mein
nai hai fikr magar lafz to purane hain
qadamaten hain wahin tazgi ke raste mein
Ghazal
Kai sarab mile tishnagi ke raste mein
Mazhar Imam