kai raaton se bas ek shor sa kuchh sar mein rahta hai
ki wo but bhi nahin phir kis tarah patthar mein rahta hai
wahan sahra bhi hai jangal bhi dariya bhi chaTanen bhi
ajab duniya basa rakkhi hai wo jis ghar mein rahta hai
khilegi dhup jab parchhaiyan peDon se niklengi
ye manzar bhi isi simTe hue manzar mein rahta hai
buland o past ki tafriq kya sab ek jaise hain
magar parwaz ka sauda jo baal-o-par mein rahta hai
isi bais zamin ki god se uThta nahin koi
bahut aaram girne TuTne ke Dar mein rahta hai
Ghazal
Kai raaton se bas ek shor sa kuchh sar mein rahta hai
Shamim Hanafi