kai dinon se use mujh se koi kaam nahin
yahi sabab hai ki mujh se dua salam nahin
abhi safar mein hun chalna mera muqaddar hai
pahunch gaya hun jahan wo mera maqam nahin
faza kasif kiye ja rahe hain log magar
lagata un pe yahan par koi nizam nahin
wo lauTne ka bahana bhi DhunD sakta hai
KHayal hai mera lekin KHayal KHam nahin
tumhaare mahal ki buniyaad mein hain dafn magar
koi bhi mahal mein leta hamara nam nahin

Ghazal
Kai dinon se use mujhse koi kaam nahin
Habeeb Kaifi