kai din se hum bhi hain dekhe use hum pe naz o itab hai
kabhi munh bana kabhi ruKH phira kabhi chin-jabin pe shitab hai
hai phansa jo zulf mein us ke dil to bata den kya tujhe ham-nashin
kabhi bal se bal kabhi KHam se KHam kabhi tab-chin se tab hai
wo KHafa jo hum se hai ghuncha-lab to hamari shakl ye hai ki ab
kabhi ranj-e-dil kabhi aah-e-jaan kabhi chashm-e-gham se pur-ab hai
nahin aata wo jo idhar zara hamin intizar mein us ke yan
kabhi jhankna kabhi takna kabhi be-kali paie-KHwab hai
wo 'nazir' hum se jo aa mila to phir us ghaDi se ye aish hain
kabhi ruKH pe ruKH kabhi lab pe lab kabhi saghar-e-mai-e-nab hai
Ghazal
Kai din se hum bhi hain dekhe use hum pe naz o itab hai
Nazeer Akbarabadi