kai dilon mein paDi is se shor-o-shar ki tarah
tera KHayal hai uDti hui KHabar ki tarah
nahin hai tab-e-nazar kam-ayar aankhon mein
chamak raha hai wo chehra dukan-e-zar ki tarah
haTegi gard-e-mah-o-sal kis ke hathon se
zamana band paDa hai qadim dar ki tarah
KHayal-e-ghair nikalta nahin mere dil se
kisi ke ghar mein ye baiTha hai apne ghar ki tarah
ThiThak gaya main use apne samne pa kar
mujhe laga wo guzargah-e-pur-KHatar ki tarah
sukun ke sath thakan bhi hai us ki yaadon mein
guzishta umr hai bhule hue safar ki tarah
pas-e-ada-e-nazar chhup gai hai tariki
wo be-naqab hua awwalin sahar ki tarah
jo mere samne muddat ke baad aaya tha
guzar gaya hai uchaTti hui nazar ki tarah
Dhale hain in mein meri zindagi ke sham-o-sahar
hain mere sher hikayat-e-muKHtasar ki tarah
Ghazal
Kai dilon mein paDi is se shor-o-shar ki tarah
Zahid Farani