اردو हिंदी
Kai aks mah-e-tamam the mujhe kha gae | Shaahi Shayari
kai aks mah-e-tamam the mujhe kha gae

Ghazal

Kai aks mah-e-tamam the mujhe kha gae

Liyaqat Ali Aasim

;

kai aks mah-e-tamam the mujhe kha gae
wo jo KHwab se lab-e-baam the mujhe kha gae

koi rakh thi jo sulag rahi thi idhar udhar
wo jo rang-e-saya-e-sham the mujhe kha gae

wo jo aansuon ki zaban thi mujhe pi gai
wo jo bebasi ke kalam the mujhe kha gae

wo jo manzilon ki duaen thin nahin le gain
wo jo raste ke salam the mujhe kha gae

wo jo bikhre bikhre se log the mere rog the
wo jo muttasil dar-o-baam the mujhe kha gae

kabhi ye ghalat kabhi wo ghalat kabhi sab ghalat
ye KHayal-e-puKHta jo KHam the mujhe kha gae