اردو हिंदी
Kaifiyat kya thi yahan aalam-e-gham se pahle | Shaahi Shayari
kaifiyat kya thi yahan aalam-e-gham se pahle

Ghazal

Kaifiyat kya thi yahan aalam-e-gham se pahle

Akhtar Ansari Akbarabadi

;

kaifiyat kya thi yahan aalam-e-gham se pahle
kaun aaya tha teri bazm mein hum se pahle

sab karam hai tere andaz-e-sitam se ai dost
zauq-e-gham dil ko na tha tere sitam se pahle

bandagi teri KHudai se bahut hai aage
naqsh-e-sajda hai tere naqsh-e-qadam se pahle

qalb-e-insan ko hai ab phir usi aalam ki talash
teri mahfil thi jahan dair-o-haram se pahle

hum se mansur zamane mein kahan hain 'aKHtar'
dar tak aa nahin sakta koi hum se pahle