اردو हिंदी
Kaifiyat hi kaifiyat mein hum kahan tak aa gae | Shaahi Shayari
kaifiyat hi kaifiyat mein hum kahan tak aa gae

Ghazal

Kaifiyat hi kaifiyat mein hum kahan tak aa gae

Syed Mubeen Alvi Khairabadi

;

kaifiyat hi kaifiyat mein hum kahan tak aa gae
be-KHudi wo thi ki un ke aastan tak aa gae

waqt ki rau mein bahe the jaane kis andaz mein
ye KHabar bhi ho na pai hum kahan tak aa gae

KHud sukun-e-agahi ne ruh ko taskin di
hum bichhaD kar jab ghubar-e-karwan tak aa gae

sar-faroshan-e-wafa ko bhi na chhoDa ishq ne
marhale sari KHata ke mehrban tak aa gae

rah-e-manzil ki jahan pahchanna dushwar thi
zindagi tere qadam aise nishan tak aa gae

har qadam par hum ko duniya rokti hi rah gai
ek jazba tha jo tere aastan tak aa gae

milna tha husn-e-bayan ko ek izhaar-e-KHulus
lafz-o-mani KHud-baKHud urdu zaban tak aa gae

dekhna hai faisla mauj-e-hawadis ka 'mubin'
kashti-e-dil le ke bahr-e-be-karan tak aa gae