اردو हिंदी
Kaifiyat-e-dil-e-hazin humse nahin bayan hui | Shaahi Shayari
kaifiyat-e-dil-e-hazin humse nahin bayan hui

Ghazal

Kaifiyat-e-dil-e-hazin humse nahin bayan hui

B S Jain Jauhar

;

kaifiyat-e-dil-e-hazin hum se nahin bayan hui
lafz na sath de sake aansuon se ayan hui

shorish-e-wardat-e-qalb sheron mein Dhaal Dhaal kar
likhte rahe tamam umr KHatm na dastan hui

ab na wo dil mein dhaDkanen ab na wo soz-o-saz hai
puchhte hain wafat-e-dil kaise hui kahan hui

meri zara si baat par jaane wo kyun KHafa hui
koi na talKH guftugu donon ke darmiyan hui

ghar to hazaron ban gae inTon ko joD joD kar
ghar ke makinon ki wafa zinat-e-ashiyan hui

surat thi wo ki barq si badliyon ki thi oT mein
pardon se jhank jhank kar pardon mein hi nihan hui

ek hi shaKH par rahe baDh mein sanp aur aadmi
kaisi ajib dosti donon ke darmiyan hui